Tuesday, 22 May 2012

Mein nhi manti :P

Mein nhi manti.....
rasm ko rivaj ko
apnay banaye huay samaj ko
hath ki lakeeron ko
miteti badalti tasweeron ko
aankh kay nazaron ko
taqdeer kay sitaron ko
nahi manti mein
keh meri aankhon mein ab aansu hi rehna chahiyen
keh meray chehray pe soch ki lakerain hi meri izzat ka saman  hain
keh meri mang mein ab sitaray nhi chamkain gay
keh mein khilkhila kay hans paron to ye kainat chaunk jaye gi
hairat se apni ungli danton mein daba lay gi
aur agar aisa hai........
to mujhay isay neend se jaganay do
mujhay muskuranay do
mujhay apnay chehray pe soch ki lakeer nhi
aankh kay neechay gal pe til acha lagta hai
muskuratay lab danton me daba kr bat kerti hun
to duniya sochnay lagti hai
ye do bachon ki maa hai aur aankhon mein sharart kot kay bhari
sarak pe stroller kay sath bachon se race lagati
hansti
khilkhilati
chehray pe lagi ice cream chatati to kabhi zor se gungunati
ye kaisi do bachon ki maa hai?
isay ranjeeda bepanah hona chahiye
iski hasti fana hona chahiye

to sun lo duniya kay thekedaro
mein nhi manti keh meri zindagi wo aik saya tha jo juda ho gya
mein nhi manti keh us kay sath mera wajud fana ho gya
meri aankhon mein jab tak roshni hai
mein tum ko jhutlati rahungi
mein muskurati rahun gi......................:)))

4 comments:

  1. Really Awesome Poem.
    One of the best poem i have ever read.. We should not care what other thinks and says. we should just do what our heart says.
    :)

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. very nice poem...beautifully written

    ReplyDelete